For Enquiry +91-9211626023

Story of Prophet Zakaria (Zakaria Alayhis Salaam ka qissa)

10) A SPECIAL FAVOUR BY ALLAH!!

Zakaria ‘alayhis salaam visited Maryam ‘alayhis salaam from time to time and when he visited there, he always saw something special.

He saw that there were various kinds of sustenance (rizq) placed for Maryam ‘alayhis salaam in that room. 

Scholars say that it either included all kinds of fruits even the off- season ones or it included all kind of food items and some scholars says that 'rizq' here means the religious knowledge and scriptures given to Maryam ‘alayhis salaam.

Qur'aan mentions-
"Every time he (Zakaria) entered Al-Mihraab (the room) to visit her, he found her supplied with various kind of sustenance (rizq)"

Zakaria ‘alayhis salaam's curiosity was increasing day by day and finally one day he asked about it from Maryam ‘alayhis salaam.

"Zakaria ‘alayhis salaam said: O Maryam! From where have you got this? She said: This is from ALLAH. Verily, ALLAH provide sustenance to whom He wills, without limit." (3:37)

[Zakaria ‘alayhis salaam Maryam ‘alayhis salaam ke paas waqtan fa waqtan jaate rehte the aur jab bhi wo waha jaate to wo unke paas kuch khaas cheeze paate.

Wo ye dekhte ke unke paas bohot tarah ka RIZQ rakha hua hota tha.

Muffasireen ke mutabiq, ya to ye rizq har tarah ke mausami aur ghair mausami PHAL hote ya phir ye har tarike ki KHANE PINE ki chize hoti ya phir baaz muffasireen ke nazdeeq, yaha rizq se muraad wo ILM AUR SAHIFE the jo Maryam ‘alayhis salaam ki taraf nazil hote the.

Zakaria ‘alayhis salaam ko ye dekhkar bohot tajassus hota (yaani shauq hota janne ka) aur phir ek din akhirkaar unhone Maryam ‘alayhis salaam se pooch liya ke unke paas ye rizq kaha se aata hai.

To Maryam Alayhis Salaam ne unhe jawaab diya ke- 
"Ye mere paas ALLAH ki taraf se aata hai. Beshak ALLAH jise chaahe be-hisaab rizq ata karta hai."]
Slide 10 of 14

Call us for further information. We are here to help you anytime.

We're available for 24 hours!

Call Us Now +91-9876543210
Contact Us