For Enquiry +91-9211626023

Seerah- Prophet Muhammad ﷺ (Part 5)

1️⃣0️⃣ PERMISSION TO FIGHT!!

With time, the danger grew so serious that Muslims began keeping their weapons next to their beds at night.

Prophet ﷺ was also protected by armed bodyguards until ALLAH revealed the verse:
"ALLAH will guard you from mankind" (5:67)

Prophet ﷺ went to the people outside his house and said-
"O people! Leave me for Indeed ALLAH the Mighty and Majestic shall protect me" 
(At-Tirmidhi 2/130)

Upto this point, Prophet ﷺ consoled the Muslims to bear all this for the sake of ALLAH.

But at last, ALLAH gave the permission to Muslims to fight against their oppressors.

Qur'aan mentions-

"Permission (to fight) is given to those against whom fighting is launched, because they have been wronged."(22:39)

This was the FIRST TIME after so many years that ALLAH gave permission to Muslims to use force in self-defence.

[Khatra itna badhta chala gaya ke Musalmaano ko raat ko sote hue apne sath hathyaar rakhna shuru karna padha.

Nabi ﷺ ke ghar ko bhi pehra diya jaane lag gaya tha yaha tak ke ALLAH ne ye ayat utaari-
"ALLAH aapki hifaazat logo se kar dega" (5:67)

Usi waqt hi Nabi bahar gaye aur logo se kaha-
"Ae logo! Tum log yaha se chale jayo. Beshak ALLAH Azza wa Jalla meri hifazat farmayega." (At-Tirmidhi 2/130)

Is ghadi tak bhi Nabi ﷺ Musalmaano ko tasalli de rahe the ke ALLAH ki khaatir ye sab bardasht karlo.

Lekin phir aakhir kaar, ALLAH ne Musalmaano ko ijaazat dedi ke wo zaalimo se jung kar sakte hai.

Qur'aan mei ALLAH farmaate hai ke-

"Ijazat dedi gayi hai (jung ki) un logo ko (yaani Musalmaano ko) un logo se jo ladte hai unse (yaani Mushrikeen se) kyuki unpar zulm hua hai." (22:39)

Itne saal baad ye ijaazat PEHLI BAAR Musalmaano ko mili thi ke ALLAH ne unhe apne difa ke liye jung karne ko kaha.]
Slide 11 of 34

Call us for further information. We are here to help you anytime.

We're available for 24 hours!

Call Us Now +91-9876543210
Contact Us