For Enquiry +91-9211626023

Story of Prophet Zakaria (Zakaria Alayhis Salaam ka qissa)

12) THE ACCEPTANCE!!

ALLAH accepted the dua of Zakaria ‘alayhis salaam and gave him the glad tidings of his son who was named YAHYA.

Qur'aan mentions-
"So We (ALLAH) answered his call, and We bestowed upon him Yahya, and cured his wife (to bear a child) for him. 

Verily, they used to hasten on to do good deeds, and they used to call on Us with hope and fear, and used to humble themselves before Us." (21:90)

This information was provided to Zakaria ‘alayhis salaam through angels when he was in the prayer chamber.

"So the angels called him while he was standing in prayer in the chamber:

"Indeed, ALLAH gives you good tidings of Yahya, confirming a word from ALLAH and (who will be) honorable, abstaining (from haraam), and a prophet from among the righteous." (3:39)

[ALLAH ne Zakaria ‘alayhis salaam ki dua qubool karli aur unhe ek bete ki khushkhabri di jiska naam YAHYA rakha gaya.

Qur'aan mei aata hai ke:
"Humne (yani ALLAH ne) unki dua qubool kari aur unhe Yahya ata kiye aur unki biwi ko tandrust kar diya. 
Beshak wo dono jaldi karte the nekiyo mei aur Hume khauf aur umeed ke sath pukaarte the aur wo ajizi ikhtyar karne wale the."

Ye khabar Zakaria ‘alayhis salaam ko farishto ne sunayi jab wo namaaz ki jagah par mojood the.

Qur'aan mei ALLAH farmaate hai ke-
"To farishto ne unhe (Zakaria ‘alayhis salaam ko) pukaara jab wo namaz qayam kar rahe the Mihraab mei ke Beshak ALLAH ne aapko khushkhabri di hai Yahya ki, jo tasdiq karne wala hoga ek kalime ka Humari taraf se, aur wo ba-izzat hoga aur wo parhezgaar hoga aur wo nek logo mei se hoga."]
Slide 12 of 14

Call us for further information. We are here to help you anytime.

We're available for 24 hours!

Call Us Now +91-9876543210
Contact Us