For Enquiry +91-9211626023

Story of Prophet Ibrahim (Ibrahim Alayhis Salaam ka qissa)

16) PEOPLE QUESTIONED IBRAHIM ALAYHIS SALAAM.!!

Ibrahim alayhis salaam was bought in front of the whole community and was asked about the whole instance.

They said: "Are you the one who has done this to our gods, O Ibrahim?"

"Ibrahim alayhis salaam (pointed &) said: Rather, this one, the biggest of them did it (means he is holding the axe so he must have done it). Ask them (the idols), if they can speak."
👆🏻(Another example of tauria)

The whole society got SILENT with this answer of Ibrahim Alayhis Salaam and the first thought that came to them was that Indeed this man is right and we are wrong. 

But few seconds later, they returned back with their foolish thinking and started to argue with Ibrahim alayhis salaam -
"Indeed you know well that these idols dont speak."

Now Ibrahim alayhis salaam was ready to give an answer for which he did all this hoping that now people might understand his messages practically.

He said-
"Do you then worship besides ALLAH, things that can neither profit you nor harm you?"
"Fie upon you (shame on you) and upon that which you worship besides ALLAH. Have you then have no sense?" (21:62-67)

[Ibrahim alayhis salaam ko puri qaum ke saamne bulaaya gaya aur unse sawaal kiye gaye.

"Logo ne unse poocha ke kya tumne hi humare ilaho ke sath ye kara hai?"
Ibrahim alayhis salaam ne ishaara karte hue jawaab diya: 
"Balke wo wala, jo ye sabse bada hai (jiske upar auzaar latka hua hai) isne kara hai(yani dekhne mei to aisa hi lag raha hai jaise isne kara hai).
In ilaho se pooch le agar wo bol sakte ho to."
👆🏻(Ye Tauria ki ek aur misaal hai.)

Iss jawaab ne poori qaum ko KHAMOSH kar diya aur ek pal ke liye sabko laga ke waqai ye shaks sahi bol raha aur hum hi zaalim hai.

Lekin phir wo apni bewakoofi par palat aaye aur Ibrahim alayhis salaam se hujjat karne lage-
"Tumhe acche se maloom hai ke ye murtiya bol nahi sakti."

Ab Ibrahim alayhis salaam ko jawaab dena ka mauqa mila jiske liye unhone ye sab kara tha.
Unhone logo se kaha: "To kya phir bhi ALLAH ke siwa tum aisi hastiyo ko poojte ho jo tumhe na nafa de sakti hai aur na nuksaan? 
Haye afsos aur sharam tum logo par aur jiski tum ibadat karte ho ALLAH ke siwa. Kya tumhare paas sochne samajhne ke liye aqal nahi hai?]
Slide 16 of 23

Call us for further information. We are here to help you anytime.

We're available for 24 hours!

Call Us Now +91-9876543210
Contact Us