For Enquiry +91-9211626023

Seerah- Prophet Muhammad ﷺ (Part 5)

6️⃣ THE SUPPORT OF BELIEVERS!!

The believers stood with the decision of Prophet Muhammad ﷺ even though they were few in number and had a very limited amount of weapons and animals.

Both the Muhajireen and Ansaar supported Prophet Muhammad ﷺ which made him very happy.

There were some hypocrites in the group of believers pretending to be Muslims but when they heard that they had to go and fight, they turned back to Madinah.

Prophet Muhammad ﷺ along with the sincere believers reached Badr at night and made a set up for the fight next day.

ALLAH poured a gentle rain at that night and turned the atmosphere into a peaceful one which made the Muslims sleep peacefully.

 Qur'aan mentions-
"Remember how ALLAH covered you with a drowsiness (sleep) as a security from Him and caused water to fall from the sky to clean you from it and remove from you the Rijz of shaitan (evil whisperings of shaitan), and to strengthen your heart and to make your feet firm."(8:11)

[Momineen Nabi ﷺ ke faisle ke sath khade ho gaye halaanke wo ginti mei bohot kam the aur unke paas asleh (weapons) aur jaanwar bhi bohot kam the.

Muhajireen aur Ansaar dono ne hi Nabi ka saath dene ka waada kiya jisse wo be-inteha khush ho gaye.

Kuch Munaafiq bhi Musalmaano ke group mei shamil the jo Musalmaan hone ka dhong kar rahe the lekin jaise hi unhe pata chala ke unhe aage jung ke liye jaana hai, wo wapis Madinah ki taraf palat gaye.

Nabi ﷺ aur baaqi mukhlis Musalmaan raat ko Badr pohche aur agle din ki jung ke liye tayyariya karne lage.

ALLAH ne us raat halki halki phuaar utaari (halki phulki barish) aur pura mohol pur sukoon ho gaya aur Musalmaan sukoon ki neend so gaye.

Ye bhi ALLAH ki tadbeer ka ek hissa tha.

Quraan mei aata hai ke-
"Yaad karo jab ALLAH ne tumhe neend se dhaanp liya taake tum aman mei ho jayo aur tumpar aasmaan se paani utaara taake tumhe paak kar sake aur shaitan ke Rijz ko (uske bure waswaso ko) tumse door karde aur tumhare dil ko thaam le aur tumhare qadam jama de."]
Slide 24 of 34

Call us for further information. We are here to help you anytime.

We're available for 24 hours!

Call Us Now +91-9876543210
Contact Us