For Enquiry +91-9211626023

Seerah- Prophet Muhammad ﷺ (Part 5)

1️⃣2️⃣ THE REAL BATTLE BEGINS!!

Prophet Muhammad ﷺ now ordered his army to attack the Quraish.

But before this, Prophet ﷺ took a handful of dust and threw it at the Quraish.

As he threw the dust, a violent sandstorm blew in the direction of enemies which was again a miracle by ALLAH to make the fight difficult for the disbelievers.

The Muslim army along with the Prophet attacked Quraish altogether with full strength and energy.

Supported by the invisible army of angels, Quraish men fell one after the other.

Shaitan (Iblees) was also present there in the form of a human figure, but as soon as he saw the angels, he ran away and jumped into the Red sea.
(Details mentioned in Qur'aan 8:48)

ALLAH says in Qur'aan-
"You did not kill them, but ALLAH killed them, And you did not throw (the dust on Quraish) but ALLAH threw so that He might test the believers by a fair trial from Him. Verily, ALLAH is All-Hearing, All-Knowing" 
(8:17)

[Nabi ﷺ ne ab apni fauj ko hukum diya ke wo Quraish ki fauj par hamla kare.

Lekin isse pehle, Nabi ﷺ ne mutthi bhar reth uthayi aur Quraish ki taraf pheki.

Jaise hi unhone reth pheki, ek toofani hawa chalne lagi jiska rukh Quraish ki taraf tha jisse unki aakho mei dhool udhne lag gayi.
Ye bhi ALLAH ki taraf se ek mojza tha jisse Mushrikeen ke liye jung karna mushkil ho jaye.

Udhar, puri taqat aur josh ke sath, Musalmaano ki fauj ne Nabi ﷺ ke sath milkar Quraish par ek sath hamla karna shuru kiya.

Ghaibana farishto ki fauj ki madad se, Quraish ke log ek ke baad ek khatam hone lage. 

Shaitan (Iblees) bhi us jung mei ek insaani shakal mei mojood tha lekin jaise hi usne farishto ko dekha, wo waha se bhaag nikla aur Bahre Ahmer (Red sea) mei jaake kood pada. (Quraani tafseer 8:48)

ALLAH ne Qur'aan mei farmaaya-
"Tumne unhe qatl nahi kara tha, lekin ALLAH ne unhe qatl kara tha, Aur nahi tumne pheki tha unpar (reth) lekin ALLAH ne pheki thi; taake Wo aazma le Momino ko acchi aazmaish ke sath. Beshak, ALLAH Khoob sunne wala, Khoob Janne wala hai."
 (8:17)]
Slide 30 of 34

Call us for further information. We are here to help you anytime.

We're available for 24 hours!

Call Us Now +91-9876543210
Contact Us