For Enquiry +91-9211626023

Story of Prophet Zakaria (Zakaria Alayhis Salaam ka qissa)

4) A STRONG MOTHER!!

Meanwhile, Hannah was blessed with a baby girl named MARYAM but sadly, her husband, Imran died before her daughter's birth.

Imran and Hannah also didn't have a child for very long and when Hannah was blessed with a child, she lost her husband.

Hannah was such a great woman that after her husband's death and before Maryam ‘alayhis salaam's birth, she took a vow (promise) that she would devote her child that is in her womb for the CAUSE OF ALLAH'S deen/ religion.

Knowing that she would be alone after this, she still took a daring decision that she would give her child in the famous mosque of Jerusalem known as HAIKAL where her child would learn, grow and provide the services for spreading the deen of ALLAH.

Qur'aan mentions-
"When the woman of Imran (Hannah) said, My Rabb! Surely I vow to You what is in my womb, to be devoted (to your service); accept therefore from me, surely You are the All- Hearer, the All-Knowing." (3:35)

[Udhar, Hannah ke yaha ek beti paida hui jinka naam MARYAM rakha gaya lekin unke paida hone se pehle hi unke walid yani Imran ka inteqaal ho gaya tha.

Hannah ke yaha bhi kafi arse tak aulaad nahi hui thi aur jab hui to unke shohar ka inteqaal ho gaya.

Hannah itni nek aur bahadur aurat thi ke unhone apne shohar ke inteqaal ke baad aur Maryam ‘alayhis salaam ke paida hone se pehle ALLAH se wada kar liya tha ke wo apni aulaad ko ALLAH ke RAASTE PAR lagayengi yaani use deen ki khidmat ke kaamo mei poori tarah se supurt kar dengi.

Ye baat pata hone ke bawajood ke wo iske baad akeli ho jayengi phir bhi unhone ye dileri ka faisla kiya ke wo apni aulaad ko Jerusalem ki ek khaas masjid mei jiska naam HAIKAL tha usme de dengi aur usi mei wo baccha pala badega, deen seekhega aur phir aage deen ki khidmat karega.]
Slide 4 of 14

Call us for further information. We are here to help you anytime.

We're available for 24 hours!

Call Us Now +91-9876543210
Contact Us