For Enquiry +91-9211626023

Story of Prophet Zakaria (Zakaria Alayhis Salaam ka qissa)

5) THE BIRTH OF MARYAM ‘ALAYHIS SALAAM!!

Hannah had a strong thought in her mind that most probably she would have a SON but when she had a DAUGHTER, she was afraid that how will she manage herself in the mosque all around men.

But ALLAH consoled her and said that what a daughter can do, a son cannot. 

This statement is either interpreted generally to realise the blessing of a daughter or it is interpreted in the context of Maryam ‘alayhis salaam delivering a miraculous child (later on) which is only possible for a woman to do and not a man.

Qur'aan mentions-
"Then when she delivered her (Maryam), she said: 
O my Rabb! I have delivered a female child- and ALLAH knew better what she delivered and the male is not like the female..and I have named her Maryam and I seek refuge with You for her and for her offspring from shaitan, the cursed one." (3:36)

Therefore, Hannah stood firm in her decision to devote her daughter for the cause of ALLAH'S deen.

[Hannah ke zehen mei ye shadeed khayaal tha ke shayad unke yaha BETA hoga lekin jab unke yaha BETI hui to wo pareshan ho gayi aur ghabra gayi ke jo unhone mannat maangi thi wo kaise puri hogi aur kaise unki beti masjid mei mardo ke darmyaan rahengi.

Unhone ALLAH se is kashmakash ke baare mei zikr kiya.

Iska ALLAH ne Qur'aan mei zikr kiya hai ke ALLAH khoob behtar jaanta hai ke unke yaha kya hua hai yani wo is baat ki hikmat se khoob ba-khabar hai.
 
Aage ye aata hai ke-
"Aur nahi hai ek mard ek aurat jaisa" yani jo kaam ek aurat kar sakti hai wo mard nahi kar sakta.

Iski tafseer mei bola jaata hai ke ye jumla ya to aam taur pe bola gaya hai taake betiyo ki nemat ka ehsaas dilaya jaye ya phir khaas taur par jo Maryam ‘alayhis salaam ke yaha baad mei mojzaana aulaad hui thi us par ishara hai ke ye kaam sirf aurat kar sakti hai, mard nahi.

Iske baad Hannah apne faisle par atal rahi aur apni beti ko deen ke liye supurt karne ke liye tayyar ho gayi.

Unhone apni beti aur unki aage aane wali nasal ke liye dua bhi kari ke ALLAH unhe shaitan mardood se apni hifazat mei rakhe.]
Slide 5 of 14

Call us for further information. We are here to help you anytime.

We're available for 24 hours!

Call Us Now +91-9876543210
Contact Us