For Enquiry +91-9211626023

Story of Prophet Hud (Hud Alayhis Salaam ka qissa)

7) REJECTION OF DISBELIEVERS!!

Like the people of Nuh Alayhis Salaam, the majority of Aad community rejected the messages of Hud Alayhis Salaam except few.

They said-
 "O Hud, you have not brought to us clear evidence, and we are not ones to leave our gods on your saying. 
Nor are we believers in you.

We only say that some of our gods have possessed you with evil (madness)" (11:53-54)

Hud Alayhis Salaam tried in every possible manner to deliver the message but his community made fun of him and his warnings. 

They said-
"It is all the same to us whether you advice us or not. This is no other than the false tales & religion of the ancients and we are not going to be punished." ( 26:136-138) 

[Nuh Alayhis Salaam ki qaum ki tarah Qaume Aad ke amooman logo ne bhi Hud Alayhis Salaam ka paigham jhutla diya siwaye kuch logo ke.

Unhone kaha ke:
Ae Hud! Tum humare paas koi pukhta saboot nahi leke aaye aur hum tumhare kehne se apne ilaho ko nahi chodenge aur na hum tumhe saccha maante hai. 
Hume to lagta hai ke jo tum humare buto ko galat kehte ho uski waja se tumhe saza mili hai aur tumhara dimaag phir gaya hai.

Hud Alayhis Salaam ne har jayaz koshish ki unhe samjhane ki par wo unka aur unki tambihaat (warning) ka mazaak udate rahe. 

Wo kehte ke humare liye barabar hai ke tum hume naseehat do ya na do hum nahi manenge. Aur jo tum baate kehte ho wo sab purani kahaniya hai aur yaqeenan humpar azaab nahi aayega.]
Slide 7 of 12

Call us for further information. We are here to help you anytime.

We're available for 24 hours!

Call Us Now +91-9876543210
Contact Us