For Enquiry +91-9211626023

Seerah- Prophet Muhammad ﷺ (Part 5)

7️⃣ THE CALL TO PRAYER (AZAAN)!!

Finally, the Muslims altogether including the Muhajireen and Ansaars began to perform all the 5 prayers together in congregation/Jamaat in Masjid e Nabawi without any fear.

The only problem was that the people did not know at which time the prayer would begin which created confusion.

The Prophet ﷺ asked for some suggestions to which Umar رضي الله عنه said that we should appoint a person who would call out loudly that the "Prayer is about to begin".

Prophet ﷺ liked this idea and put it into practice.

Some days later, a sahabi known as Abdullah Bin Zayd رضي الله عنه saw a dream in which he heard a beautiful prayer call which we know as AZAAN and told this to Prophet ﷺ.

Prophet realised that this dream is meant to be fulfilled so he asked Abdullah رضي الله عنه to teach the words to Bilal رضي الله عنه and made BILAL رضي الله عنه the official MUAZZIN (the one who calls azaan) because he had the most beautiful and a strong voice.

[Akhirkaar, ab saare Musalmaan jismei Muhajireen aur Ansaar sab shaamil the, ek saath milke 5 namaaze ba-jamaat padhne Masjid e Nabawi jaaya karte the bina kisi khauf ke.

Sirf ek pareshani ye thi ke logo ko Namazo ka sahi waqt nahi pata hota tha jisse confusion paida ho jaati thi.

Nabi ﷺ ne Sahabao se iska mashwara maanga to Umar رضي الله عنه ne mashwara diya ke ek aadmi ko muqarrar kar diya jaaye jo Namaaze shuru hone se pehle zor se awaaz laga de ke-
"Namaaz shuru hone wali hai".

Nabi ﷺ ko ye mashwara bohot pasand aaya aur ise amal mei laaya gaya.

Phir kuch dino baad, ek Sahabi jinka naam Abdullah Bin Zayd رضي الله عنه tha unhe ALLAH ki taraf se ek khwaab aaya jismei unhe AZAAN sunvayi gayi.
Unhone ye baat jaake Nabi ko bataayi.

Nabi ﷺ ko ye samajh aa gaya ke ye ALLAH ki taraf se paighaam hai aur ise amal mei laana laazim hai to unhone Abdullah رضي الله عنه se kaha ke wo Bilal رضي الله عنه ko Azaan ke alfaaz sikha de.

Isi tarah se phir Nabi ﷺ ne qanooni taur pe BILAL رضي الله عنه ko MUAZZIN muqarrar kar diya kyuki unki awaaz sabse zyada khoobsurat aur buland thi.]
Slide 8 of 34

Call us for further information. We are here to help you anytime.

We're available for 24 hours!

Call Us Now +91-9876543210
Contact Us