3️⃣5️⃣
NO COMPROMISE IN ISLAM!
The Mushrikeen did not listen to Utbah and sent some more men to Muhammad ﷺ so that they can bargain in some things.
This time, it was a more wiser plan.
A group of Mushrikeen went to Muhammad ﷺ and said-
• You worship our Gods for 1 year and we will worship your God for next 1 year.
This way, you will have a share of reward if our religion is true and we will have a share of reward if your religion is true.
ALLAH revealed SURAH KAFIROON to Muhammad ﷺ-
"Say, O you who reject faith. I do not worship that you worship. And you do not worship that I worship. And I will never worship that you worship. Nor will you ever worship that I worship. To you be your religion and to me mine." (109: 1-6)
They next said-
• Bring another Qur'aan in place of this one or make some changes in this (according to our desires). We will then certainly believe you.
ALLAH revealed a verse to Prophet that said-
"And when my clear verses are recited to them, those who reject meeting me, say- "Bring another Qur'aan or change this one.
Say to them- It is not for me to change it on my own. I only follow what is revealed to me. And I fear if I disobey my Rabb, I will face a terrible punishment on the day of judgment."(10:15)
[Mushrikeen ne Utbah ki baat nahi suni aur apne kuch aur aadmiyo ko Muhammad ﷺ ke paas bheja taake kisi tareeke se koi saude baazi ho jaye.
Ek Mushrikeen ka groh Muhammad ﷺ ke paas gaya aur unse kaha-
• AAP HUMARE ILAHO KI IBADAT 1 SAAL KAR LIJIYE...PHIR 1 SAAL HUM AAPKE ILAH KI IBADAT KAR LENGE!
Is tarah se agar hum sacche hue to aapko kuch hissa sawaab ka mil jayega aur agar aap sacche hue to hume kuch hissa sawaab ka mil jayega.
ALLAH ne usi waqt SURAH KAFIROON nazil kari jismei kaha gaya-
"Keh dijiye: Ae kafiro! Nahi mai ibadat karta jiski tum ibadat karte ho. Aur naahi tum ibadat karte ho jiski hum ibadat karte hai. Aur hargiz bhi nahi hum ibadat karenge jinki tum ibadat karte ho.
Aur naahi tum ibadat karoge jiski hum ibadat karte hai. Tumhare liye tumhara deen aur humare liye humara." (109:1-6)
Uske baad un Mushrikeen ne ek aur koshish ki.
Unhone kaha-
•ISKE BADLE EK AUR QUR'AAN LE AAYE YA ISI MEI (humare hisaab se) KUCH TABDEELI KAR DIJIYE. Phir hum aap par yaqeenan imaan le aayenge.
ALLAH ne ek ayat Nabi ﷺ par nazil kari jismei kaha gaya-
"Aur jab humari waaze ayaat un par padhi jaati hai to jo Meri mulaqaat ka inkaar karte hai wo kehte hai-
Ek aur Qur'aan le aayo ya ismei kuch tabdeeli kardo.
Unse keh djijye-
Ye mere liye nahi hai ke mai apne paas se usmei kuch tabdeeli kar lu. Mai nahi pairvi karta siwaye uske jo meri taraf Wahi ki jaati hai.
Beshak mai darta hu agar maine apne Rabb ki nafarmani ki to mai Qayamat wale din bohot bada azaab diya jaunga." (10:15)]