1️⃣4️⃣
LONGING TO SPEND TIME ALONE!!
Muhammad ﷺ started preferring to spend his time alone, away from the noisy festivals and crowded markets.
At one point of time, he desperately longed to spend time alone without anyone around.
He started going to the CAVE OF HIRA. (Which is on the mount of Hira).
Here, he spent his maximum time in deep investigation, searching for the truth, and worshipping the true creator.
In the month of RAMADAN, he used to spend all the time in the CAVE and follow the footsteps of Ibrahim Alayhis salaam.
Basically, even before prophethood, Muhammad ﷺ was ON THE RELIGION OF IBRAHIM ALAYHIS SALAAM (DEEN- E- IBRAHIMI) which was based on PURE MONOTHEISM (Tawheed).
[Muhammad ﷺ ko dheere- dheere akele rehna ka shauq hone laga tha.
Wo melo aur bazaaro ke shor sharaabo se hatke akele waqt bitaane ko zyada tarjeeh dete.
Phir ek aisa waqt aa gaya jab wo bilkul hi TANHAI ko pasand karne lage the aur aise mauqe dhoondte jaha koi unke aas paas na ho.
Unhone GHAAR- E- HIRA jaana shuru kar diya (Jo Hira pahaad par tha).
Waha wo zyada se zyada waqt bitaate aur khoob ghaur o fikr karte, haqq ki talaash karte aur asal Rabb ko yaad karte.
RAMADAN ke mahine mei wo saara waqt usi ghaar mei hi guzaarte aur Ibrahim Alayhis Salaam ki pairvi karte the.
Bunyaadi taur par dekha jaaye to Muhammad ﷺ nabuwat se pehle bhi DEEN-E-IBRAHIMI par hi the yaani Ibrahim Alayhis Salaam ke deen par the jo TAWHEED par hi mabni tha (yani ALLAH ko hi Rabb manna aur shirk na karna).]