2️⃣
IMPORTANCE OF SEERAH!!
A thing is valued the most when we know its importance.
So before learning about the seerah of the Prophet, this is very important for us to understand that why this is so beneficial.
1) TO FOLLOW PROPHET MUHAMMAD ﷺ IS THE CALL OF ALLAH!!
ALLAH mentions in Quraan-
"Say (O Muhammad to people) If you do love ALLAH, FOLLOW me. ALLAH will love you and forgive you your sins. For ALLAH is Oft-Forgiving, Most Merciful." (3:31)
2) TO OBEY PROPHET ﷺ IS LIKE OBEYING ALLAH!!
ALLAH says in Quraan-
"He who obeys the Messenger has indeed obeyed ALLAH, but he who turns away, then We have not sent you as a watcher over them." ( 4:80)
3) TO UNDERSTAND QURAAN FULLY!
Quraan is the book that was revealed to Prophet Muhammad ﷺ and he was the one who taught us the book of ALLAH with great descriptions.
Quraan mentions-
"And We have also sent down unto you (O Muhammad) the reminder and the advice (the Quraan), that you may explain clearly to men what is sent down to them, that they may think deeply." (16:44)
4) TO LOVE PROPHET MUHAMMAD ﷺ.
We claim to love Prophet Muhammad ﷺ but we cannot love him sincerely without knowing about him. So to love him and to follow him, first we need to learn about him.
Prophet Muhammad ﷺ said in a hadith-
"No one can truly attain the faith until I am dearer to him than his parents, his children, his own self and all the people"
(Sahi Muslim #44)
5) TO SUCCEED AND PROSPER IN LIFE AND HEREAFTER!!
This is a promise of ALLAH that whoever follows the path of Prophet Muhammad ﷺ and help others too will have a successful life and hereafter.
Quraan mentions-
"So it is those who believe in him, honour him, help him, and follow the light which is sent down with him,- it is they who will prosper."(7:157)
6) TO KNOW THE HISTORY OF ISLAM, LAWS OF ISLAM, RIGHTS AND DUTIES UPON US AND SO ON!!
[Kisi chiz ki qadar tab hi pata chalti hai jab hum uski ehmiyaat jaante ho.
Isliye seerat padhne se pehle hume ye janna bohot zaroori hai ke iska padhna humare liye kyu ahem aur faydemand hai.
1) NABI ﷺ KI PAIRVI KARNA ALLAH KA HUKUM HAI!!
ALLAH Quraan mei farmate hai-
"Keh dijiye (Ae Muhammad logo se ke) agar tum ALLAH se mohabbat karte ho to MERI PAIRVI karo.
ALLAH bhi tumse mohabbat karega aur badle mei tumhare gunah maaf karega. Beshak ALLAH, khoob Maaf karne wala, khoob Rehem karne wala hai."(3:31)
2) NABI ﷺ KI ITAAT KARNA ALLAH KI ITAAT KARNE JAISA HI HAI!!
ALLAH Quraan mei farmate hai-
"Jo rasool ki itaat karta hai wo ALLAH ki itaat karta hai, lekin jo (unki itaat se) muh mod leta hai, to Humne aapko unpar nigebaan nahi banaya."(4:80)
3) QURAAN KO MUKAMMAL TAUR PE SAMAJHNE KE LIYE!!
Quraan wo kitaab hai jo Nabi ﷺ par utaari gayi aur wohi hai jinhone hume is kitaab ki sab tafseelat khol khol ke bayaan ki.
ALLAH Quraan mei farmate hai-
"Aur Humne nazil kiya hai aap par ek zikr aur naseehat ko (yani Quraan ko) take aap bayaan kare logo ke liye jo kuch nazil kiya aap par shayad ke wo ispar ghauro fikr kare" (16:44)
4) NABI ﷺ SE SACCHI MOHABBAT!!
Hum ye to daawa karte hai ke hum Nabi se mohabbat karte hai lekin hum unhe bina jaane unse sacchi mohabbat kar hi nahi sakte. Isliye unse mohabbat karne ke liye, unke baare me padhna bohot zaroori hai.
Ek hadith me Nabi ﷺ farmate hai ke-
"Koi bhi tum mei se mukammal imaan ko nahi pohoch sakta jab tak Mai uske liye uske waldain se, uske baccho se, uske khud se aur baqi logo se azeez na ho jau."
5) DUNYA AUR AKHIRAT MEI KAAMYABI AUR SUKOON KE LIYE!!
Ye ALLAH ka waada hai ke jo koi bhi Nabi ke raaste par chalega aur doosro ko bhi iski talqeen karega wo dunya aur akhirat dono me kamyaab hoga.
Quraan mei aata hai-
"To wo log jo rasool par imaan late hai, unki izzat karte hai, unki madad karte hai aur pairvi karte hai us roshni ki jo utari gayi hai unke sath- wohi log hai jo kaamyaab honge."
6) Islam ki tareekh (history) ki maloomat, Shariat ki maloomat, Huqooq aur Faraiz (rights & duties) ki maloomat aur baqi kayi chizo ki maloomat hume seerat se pata chalti hai.]