For Enquiry +91-9211626023

Seerah- Prophet Muhammad ﷺ (Part 1)

4️⃣ THE DUA OF IBRAHIM ALAYHIS SALAAM!!

The coming of Prophet Muhammad ﷺ and the place where he was born was all pre-decided and well planned.

Infact, Prophet Muhammad ﷺ was the result of the prayer of his forefather Ibrahim alayhis salaam.

Ibrahim alayhis salaam made this dua when he left his son Ismail alayhis salaam in the desert.

Qur'aan mentions-
"(Ibrahim Alayhis Salaam said)- 
O our Rabb! Send amongst them (Bani Ismail) a (final) Messenger of their own who shall recite to them Your verses and instruct them in the book (means Qur'aan) and Al-Hikmah (the sunnahs) and purify them. Verily, you are All- Mighty, All-Wise." (2:129)

Moreover, the glad tidings of Prophet Muhammad ﷺ as a last messenger was given by many Prophets especially by ISA alayhis salaam and the name of Prophet Muhammad ﷺ was already mentioned in books like TAURAAT and INJEEL.

Isa alayhis salaam told this before to Bani Israel that-
"...(I am here) to give glad tidings of a Messenger to come after me, whose name shall be Ahmad (another name of Prophet Muhammad ﷺ)."(61:6)

[Nabi ﷺ ka dunya mei aana aur jis jagah par wo aaye wo sab pehle se muqarrar tha aur behetreen tadbeer ke sath tay kiya gaya tha.

Balke Nabi ﷺ IBRAHIM Alayhis Salaam ki DUA KA HI NATIJA THE jab unhone ek aise paighambar ke liye dua ki thi.

Ibrahim Alayhis Salaam ne ALLAH se ye dua tab maangi thi jab wo apne bete Ismail alayhis salaam ko uss sehra mei chodke aa rahe the.

Unhone kaha tha ke-

"Ae humare Rabb! Bhej unhi mei se yani Bani Ismail mei se ek (aakhri) rasool jo padh sunaye unpar teri ayaat aur taaleem de unko kitaab ki (yani Qur'aan) aur Hikmat ki (yani ahadith ki) aur jo paak kare unko, beshak tu hi Zabardast hai, Hikmat wala hai."

Uske alaawa, Nabi ﷺ ke aane ki khushkhabri bohot se anbiyao ne pehle se hi de di thi khaas taur pe ISA Alayhis Salaam ne aur unke aane ki bashaarat (khush-khabri) kitaabo mei bhi mojood thi jaise TAURAAT AUR INJEEL.

Isa alayhis salaam ne Bani Israel ko pehle se hi bata diya tha ke-
"(Mai yaha).... bashaarat/ khush khabri dene aaya hu ek rasool ki jo mere baad aayega aur jiska naam AHMAD hoga (Jo Nabi ﷺ ka doosra naam hai)."]
Slide 5 of 30

Call us for further information. We are here to help you anytime.

We're available for 24 hours!

Call Us Now +91-9876543210
Contact Us